After a long time, I get to hear a song with Veer Rasa in it.
The lyrics are reproduced over here, the song can be heard somewhere on this desert of world wide web.
Yeah, the movie is Gulaal.
Aarambh hai prachand,
Bole mastako ke jhund,
Aaj jung ki ghadi ki tum guhar do ( 2 times)
Aan baan shaan ya ki jaan ka ho daan,
Aaj ek dhanush ke baan pe utaar do,
Aarambh hai prachand…
Mann kare so praan de,
Jo mann kare so praan le,
Wahi to ek sarv shaktimaan hai
Krishna ki pukaar hai yeh
Bhagwat ka saar hai,
Ki yudh hi to veer ka pramaan hai,
Kauravo ki bheed ho ya
Pandavo ka need ho,
Jo lad saka hai wo hi to mahaan hai,
Jeet ki hawas nahi,
Kisi pe koi vash nahi,
Kya zindagi hai thokaro pe maar do,
Maut anth hai nahi to
Maut se bhi kyu dare?
Yeh jaake aasmaan mein dahaad do,
Aarambh hai prachand,
Bole mastako ke jhund,
Aaj jung ki ghadi ki tum guhar do
Aan baan shaan ya ki jaan ka ho daan,
Aaj ek dhanush ke baan pe utaar do,
Aarambh hai prachand…
Ho daya ka bhaav ya ki shaurya ka chunaav,
Ya ki haar ka wo ghaav tum yeh soch lo
Ya ki poore bhaal par jala rahe vijay ka laal,
Laal yeh gulaal, tum yeh soch lo,
Rang kesari ho ya mridang kesari ho ya ki,
Kesari ho laal tum yeh soch lo..
Jis kavi ki kalpana mein
Zindagi ho prem geet,
Uss kavi ko aaj tum nakaar do,
Bheegti nasso mein aaj,
phoolti rago mein aaj,
Aaj aag ki lapat ka tum baghaar do,
Aarambh hai prachand,
Bole mastako ke jhund,
Aaj jung ki ghadi ki tum guhar do
Aan baan shaan ya ki jaan ka ho daan,
Aaj ek dhanush ke baarn pe utaar do,
Aarambh hai prachand- ( 3 times)