Showing posts with label lyrics. Show all posts
Showing posts with label lyrics. Show all posts

Friday, April 03, 2009

Veer Rasa

After a long time, I get to hear a song with  Veer Rasa in it.
The lyrics are reproduced over here, the song can be heard somewhere on this desert of world wide web. 
Yeah, the movie is Gulaal. 

Aarambh hai prachand,
Bole mastako ke jhund,
Aaj jung ki ghadi ki tum guhar do ( 2 times)

Aan baan shaan ya ki jaan ka ho daan,
Aaj ek dhanush ke baan pe utaar do,

Aarambh hai prachand…

Mann kare so praan de,
Jo mann kare so praan le,
Wahi to ek sarv shaktimaan hai

Krishna ki pukaar hai yeh
Bhagwat ka saar hai,
Ki yudh hi to veer ka pramaan hai,

Kauravo ki bheed ho ya 
Pandavo ka need ho,
Jo lad saka hai wo hi to mahaan hai,

Jeet ki hawas nahi, 
Kisi pe koi vash nahi,
Kya zindagi hai thokaro pe maar do,

Maut anth hai nahi to 
Maut se bhi kyu dare?
Yeh jaake aasmaan mein dahaad do,

Aarambh hai prachand,
Bole mastako ke jhund,
Aaj jung ki ghadi ki tum guhar do

Aan baan shaan ya ki jaan ka ho daan,
Aaj ek dhanush ke baan pe utaar do,
Aarambh hai prachand…

Ho daya ka bhaav  ya ki shaurya ka chunaav,
Ya ki haar ka wo ghaav  tum yeh soch lo

Ya ki poore bhaal par jala rahe vijay ka laal,
Laal yeh gulaal, tum yeh soch lo,

Rang kesari ho ya mridang kesari ho ya ki,
Kesari ho laal tum yeh soch lo..

Jis kavi ki kalpana mein 
Zindagi ho prem geet,
Uss kavi ko aaj tum nakaar do,

Bheegti nasso mein aaj, 
phoolti rago mein aaj,
Aaj aag ki lapat ka tum baghaar do,

Aarambh hai prachand,
Bole mastako ke jhund,
Aaj jung ki ghadi ki tum guhar do
Aan baan shaan ya ki jaan ka ho daan,
Aaj ek dhanush ke baarn pe utaar do,
Aarambh hai prachand- ( 3 times)

Sunday, May 06, 2007

The state machine of the mind

Mann apne ko kuch halka paaye....
Jaise kandho par rakha bojh hat jaaye...
Jaise bhola sa bachpan phir se aaye...
Jaise barson mein koi Ganga nahaaye....

There are few gems that beautifully describe what I feel some time or the other.
The one above fits the bill today.